Wednesday 9 January 2013

AZIZ MIAN DABA KE CHAL DIYAY LYRICS

mujh mein yeh aib hai aashiq bhi hoon saudayee bhi
hoon mein yeh wasf hai qatil bhi hein harjaaye bhi

Aaa (Sufi Chants...)

kabhi kaha na kisi se...
mein ne kabhi kaha na kisi se...

woh mere samnay baitha tha ghair ko le ke
mein ne kabhi kaha na kisi se...

raat ke waqt mae piye saath raqeeb ko liyeh
kabhi kaha na kisi se...

kabhi kaha na kisi se tere fasane ko...

(commentary: shair ko pora ker doon)

kabhi kaha na kisi se tere fasaane ko
na jane kaise khabar hogaye zamane ko

suna hai ghair ki mehfil mein tum na jao ge
kaho to aaj saja loon ghareeb khane ko

bahaar ja chuki daur e kihzaan hai ai sayyad
na cherh! aag laga doon ga aashiyane ko

(commentary: shair sun lein)

daba ke chal diye sub qabar mein dua na salaam
zara si der mein dekho kya ho gaya zamane ko

daba ke chal diye, daba ke chal diye, daba ke chal diye
daba ke chal diye, daba ke chal diye, daba ke chal diye

parhi namaaz janazay ki meri ghairon nay
maray thay jin ke liyeh wo rahay wazoo kartay

(commentary: shair mulahiza farmiayeh)

marne wala qabar mei kya chain paaye baad e dafan
maut ne dunya se dono rukh dikhaye baad e dafan
muthiyon mein khaak le ker dost aaye baad e dafan
zindagi bhar ki mohabbat ka sila dene lage... kya

daba ke chal diye, daba ke chal diye, daba ke chal diye
daba ke chal diye, daba ke chal diye, daba ke chal diye

aadmi! aadmi ka jism kya hai jis pe shaida hai jahaan
aik matti ki emarat aik matti ka makaan
khoon ka dara bana hai eenth jis mein haddiyan
chund saanson per khara hai yeh khayali aasman
maut ki purzoor aandhi jab isay takraye gi
yeh emarat toot ke phir khaak mein mil jaye gi

yeh jo kuch dekhta hai toofar e bekhuwab e hasti hai
takhayyur ke karishme hein bulandi hai na pasti hai
ajab dunya e hairat aalam e daur e ghareeba hai
ke weerane ka weerana hai ke basti ki basti hai
koi hum hein ke kabhi jo raat din pholoon mein tulte thay
koi hum hein ke turbat chaar pholon ko tarasti hai

daba ke chal diye, daba ke chal diye, daba ke chal diye
daba ke chal diye, daba ke chal diye, daba ke chal diye

(commentary: shair mulahiza ho)

kisi ke mo se na nikla hamare dafn ke waqt
ke inpe khaak na daalo yeh hein nahaye hoay

daba ke chal diye, daba ke chal diye, daba ke chal diye
daba ke chal diye, daba ke chal diye, daba ke chal diye

insaan azeem hai.. nahi nahi nahi nahi nahiii insaan pust hai

daba ke chal diye, daba ke chal diye, daba ke chal diye
daba ke chal diye, daba ke chal diye, daba ke chal diye

(commentary: sun lo lasth walo sher sun lo shayid mein yaad rahoon)

usne mujhe paida keya to apni surat ka keya paida
phir uske baad wo khud dekh ker khudh ho gaya shaida
farishton ne keya aflaak per dekho mujhe sajda
mere sir per jabeen o jailo??? ka taj rakha tha
na samjho khaak ka putla binaye dojahaan mein hoon
muraqqe ko na dekho mein nahi hoon
kisi ka aaine hai mein nahi hoon
wo mujh mein bolta hai mein nahi hoon
tumhein dhoka howa hai mein nahi hoon
ub aap pehne hoay matti ki murat
koi behroopiya hai mein nahi hoon

mein is se bhi azeem hoon aur kitna azeem hoon suniyeh

woh fakhr e laila mein rashk e majnu
ke yaar mujh mein mein yaar mein hooon
woh mujhpe shaida mein uspe maftoo
ke yaar mujhe mien mein yaar mein hoon

mita jo illa se naqsh la ka
khicha fana mein baqa ka naqsha
pukaar utha daroome bairo
ke yaar mujhe mien mein yaar mein hoon

abhi bhi faraq reh gaya mein is se bhi azeem hoon mein kitna azeem hoon suniyeh

mein ne La kaha mei-la howa
wo la bhi us mei-la howa
yeh juz-la howa yeh pul-la howa
phir kya howa Allah howa

is ke aagay to ub koi manzil koi maqaam koi wasta nahi kahan per hoon
phir sun lein... is ke aagay baat khatam hai Allah ke baad konsa maqaam hai

mein ne La kaha mei-la howa
wo la bhi us mei la howa
juz-la howa yeh pul-la howa
phir kya howa Allah howa Allah howa Allah howa

laikin jab mein paida howa

paida howa to hindu na musalman tha mein
waib torat se na waqif e Quran tha mein
haan magar itna pata hai ke ik insaan tha mein
shaoor aa gaya ub kya howa...

mein chala mandir ki jaanib di brahman ne sada
janay walay aa idhar dekh phir bhooka makaan
mein chala masjid ki jaanib di muazzan ne sada
janay walay aa idhar dekh maula ka maqaam

mein kidhar jaoon mein kahan jaaon ajab hai yeh tera dhanda

gharaz isi kashmakash mein meri zindagi guzri
ub baad marne ke meri mayyat pe laga hai mela
koi kehta hai ke lakri se jalao isko
koi kehta hai ke matti mein dabao isko

ay Allah! gharaz yeh sub ka mansha hai ke dunya se mitao isko

daba ke chal diye, daba ke chal diye, daba ke chal diye
daba ke chal diye, daba ke chal diye, daba ke chal diye

daba ke chal diye, daba ke chal diye, daba ke chal diye
daba ke chal diye, daba ke chal diye, daba ke chal diye

daba ke chal diye, daba ke chal diye, daba ke chal diye
daba ke chal diye, daba ke chal diye, daba ke chal diye

10 comments:

  1. bahut achche NICE.............!

    ReplyDelete
  2. there are a few typos that i can see at first glance:

    *un mein ye wasf hai...

    *Takhayyul ke karishme hein...

    *mere sar pe Innee Jailun ka taj rakha tha (reference to inee jailun be arz e khalifa - hum nay tum ko zameen per apna khalifa muqarrar kiya)

    *ye juz la huwa ye kul la hua

    there are a few more but this is a very good job. thanks for putting it up and i hope you can do some more of aziz mian too. :)

    ReplyDelete
  3. very good brother . kash k main aziz mian sy mil skta .

    ReplyDelete